Quick Summary:

52 शक्तिपीठों की सूची, इतिहास और धार्मिक महत्व Shakti Peethon ki kul sankhya par alag-alag mat hain, lekin 51 Shakti Peeth sabse adhik prachlit aur sweekrit maane jaate hain. Yah sankhya Devi Puran par aadharit hai, jismein Devi Sati ke…

52 शक्तिपीठों की सूची, इतिहास और धार्मिक महत्व

Shaktipeeth

Shakti Peethon ki kul sankhya par alag-alag mat hain, lekin 51 Shakti Peeth sabse adhik prachlit aur sweekrit maane jaate hain. Yah sankhya Devi Puran par aadharit hai, jismein Devi Sati ke sharir ke ang jahan-jahan gire the, un sthanon par Shakti Peethon ki sthaapna ka varnan hai.

Kuch granthon mein 108 ya 72 Shakti Peethon ka bhi ullekh hai, aur ‘Tantra Chudamani’ mein 52 Shakti Peethon ka varnan hai.

51 Shakti Peeth: Yah sankhya sabse pramukh hai, jiske anusar Devi Sati ke sharir ke 51 hisse alag-alag sthanon par gire the, jisse 51 Shakti Peeth bane.

Anya sankhyaen: Kuch dharmik granthon mein 108 ya 72 Shakti Peethon ka ullekh hai, jabki ‘Tantra Chudamani’ mein 52 Shakti Peethon ka zikr milta hai.

Devi ke prasiddh aur paavan mandiron mein 52 Shaktipeeth shamil hain. Vaise to 51 Shaktipeeth maane jaate hain lekin Tantra Choodamani mein 52 Shaktipeeth bataye gaye hain. In Shaktipeeth ke astitva mein aane ke peeche ek khaas wajah hai.

Pauranik katha ke mutabik, Bhagwan Shiv ki pehli patni Sati ne apne pita Raja Daksh ki marzi ke bina Bholenath se vivaah kiya tha. Is par ek baar Raja Daksh ne ek virat yagya ka aayojan kiya lekin apni beti aur damad ko yagya mein aamantrit nahi kiya.

Mata Sati bina pita ke nimantran ke yagya mein pahunch gayi, jabki Bholenath ne unhe wahan jaane se mana kiya tha. Raja Daksh ne Mata Sati ke saamne unke pati Bhagwan Shiv ko apashabd kahe aur unka apmaan kiya.

Pita ke muh se pati ke apmaan Mata Sati se bardasht nahi hua aur unhone yagya ki pavitra agni kund mein koodkar praan tyaag diye. Bholenath patni ke viyog ko sah na sake. Vah Mata Sati ka shav lekar Shiv Tandav karne lage. Brahmand par pralay aane lagi, jis par Vishnu Bhagwan ne ise rokne ke liye Sudarshan Chakra se Mata Sati ke sharir ke tukde kar diye.

Mata ke sharir ke ang aur abhooshan 52 tukdon mein dharti par alag-alag jagah par gire, jo Shaktipeeth ban gaye.

Mata Sati ke inhi Shaktipeeth ke darshan karna chahte hain to sabse pehle ye jaan lijiye ki Devi ke 52 Shaktipeeth kahan kahan sthit hain aur sabhi Shaktipeeth ke kya naam hain.

Mata ke Shaktipeeth

Manikarnika Ghat, Varanasi, Uttar Pradesh – Yahan Mata Sati ki Manikarnika giri thi. Yahan Mata ke Vishalakshi aur Manikarnika swaroop ki pooja hoti hai.

Mata Lalita Devi Shaktipeeth, Prayagraj – Allahabad sthit is jagah par Mata Sati ke haath ki anguli giri thi. Yahan Mata Lalita ke naam se jaani jaati hain.

Ramgiri, Chitrakoot, Uttar Pradesh – Yahan Mata Sati ka daaya stan gira tha. Is sthal par Mata Shivani ke roop mein poojyani hain.

Uma Shaktipeeth, Vrindavan – Ise Katyayani Shaktipeeth ke naam se bhi jaante hain. Yahan Mata ke baal ke guchchh aur chudamani gire the.

Devi Patan Mandir, Balrampur – Yahan Mata ka baaya skand gira tha. Is Shaktipeeth mein Mata Mateshwari ke roop mein virajmaan hain.

Harsiddhi Devi Shaktipeeth – Madhya Pradesh mein devi ke do Shaktipeeth hain. Inmein se ek Harsiddhi Devi Shaktipeeth hai, jahan Mata Sati ki kohni giri thi. Yah Rudra Sagar talab ke paschimi tat par sthit hai.

Shondeshwar Narmada Shaktipeeth – Madhya Pradesh ke Amarkantak mein Mata ka daya nitamb gira tha. Yahaan par Narmada nadi ka udgam hone ke karan Mata ko Narmata swaroop mein pooja jaata hai.

Naina Devi Mandir – Himachal Pradesh ke Bilaspur mein Shivalik parvat par Devi Sati ki aankh giri thi. Yahaan Mata Devi Mahish Mardini ke naam se jaani jaati hain.

Jwala Ji Shaktipeeth – Himachal ke Kangra mein Devi ki jeebh giri thi, is karan iska naam Sidhida ya Ambika pada.

Tripurmalini Mata Shaktipeeth – Punjab ke Jalandhar mein Chhaavni station ke paas Mata ka baaya stan gira tha.

Amarnath ke Pahalgam, Kashmir – Yahaan Mata Sati ka gala gira tha. Yahaan Mahamaya ki pooja hoti hai.

Kurukshetra, Haryana – Mata ke pair ki edi giri thi. Yahaan Mata Savitri ka Shaktipeeth sthit hai.

Manibandh, Ajmer ke Pushkar – Gayatri Parvat par Mata Sati ki do pahunchiyaan giri thi. Yahaan Mata ke Gayatri swaroop ki pooja hoti hai.

Birat, Rajasthan – Yahaan Mata Ambika ka mandir hai. Mata Sati ke baaye pair ki ungliyaan giri thi.

Ambaji Mandir, Gujarat – Mata Ambaji ka mandir hai. Mana jaata hai yahaan Mata ka hriday gira tha.

Junagadh, Gujarat – Devi Sati ka amashay gira tha. Yahaan Mata ko Chandrabhaga ke naam se jaana jaata hai.

Maharashtra ke Jansthan – Mata ki thodi giri thi. Yahaan Mata ke Bhramari swaroop ki pooja hoti hai.

Matabadi Parvat Shikhar Shaktipeeth, Tripura – Udarpur ke Radhakishorpur gaon mein Mata ka daaya pair gira tha. Yahaan Mata ko Devi Tripur Sundari kaha jaata hai.

Bengal – Yahaan sabse adhik Shaktipeeth hain. Purv Medinipur ke Tamluk sthit Vibhassh mein Devi Kapalini ka mandir hai. Mata ki baayi edi giri thi.

Bengal ke Hugli, Ratnavali – Mata Sati ka daaya kandha gira tha. Mandir mein Mata ko Devi Kumari kaha jaata hai.

Murshidabad, Kiritkon Gaon – Devi Sati ka mukut gira tha. Yahaan Mata ke Vimala swaroop ki pooja hoti hai.

Jalpaiguri, Boda Mandal – Salbadi gaon mein Mata ka baaya pair gira tha. Yahaan Mata ke Bhramari Devi ke roop ki pooja hoti hai.

Bahula Devi Shaktipeeth – Vardhaman district ke Ketugram ilaake mein Mata Sati ka baaya haath gira tha.

Mangal Chandrika Mata Shaktipeeth – Vardhaman district ke Ujjani mein Mata ka daayi kalai giri thi.

Paschim Bengal, Vakreshwar – Devi Sati ka bhroomadhya gira tha. Yahaan Mata ko Mahishmardini kaha jaata hai.

Nalhati Shaktipeeth, Birbhum – Mata ke pair ki haddi giri thi.

Phullara Devi Shaktipeeth, Attahas, Paschim Bengal – Mata Sati ke hoth gire the. Yahaan Mata Phullara Devi ke naam se jaani jaati hain.

Nandipur Shaktipeeth, Paschim Bengal – Mata Sati ka haar gira tha. Yahaan Maa Nandini ki pooja hoti hai.

Yugadha Shaktipeeth, Vardhaman – Kshirgram mein Mata ke daaye haath ka angutha gira. Yahaan Mata ka Shaktipeeth hai, jahan unhe Devi Jugadya ke naam se pukara jaata hai.

Kalika Devi Shaktipeeth, Kalighat – Mata ke daaye pair ka angutha gira tha. Yahaan Maa Kalika ke naam se pooji jaati hain.

Kanchi Devgarh Shaktipeeth, Paschim Bengal – Devi ki asthi giri thi. Yahaan Mata Devgarh roop mein sthapit hain.

Bhadrakali Shaktipeeth, Tamil Nadu – Mata ki peeth giri thi. Yahaan Mata ka Kanyashram, Bhadrakali Mandir aur Kumari Mandir sthit hai. Unhe Shrivani naam se pukara jaata hai.

Shuchi Shaktipeeth, Tamil Nadu – Kanyakumari ke paas Shuchi Teertham Shiv Mandir sthit hai. Yahaan Mata ka upari daadh giri thi. Mata ko Narayani naam diya gaya hai.

Vimala Devi Shaktipeeth, Odisha – Utkal mein Devi ki nabhi giri thi. Yahaan Mata Vimala ke naam se jaani jaati hain.

Sarvashail Ramhendri Shaktipeeth, Andhra Pradesh – Yahaan Mata ke gaal gire the. Bhakt Mata ke Rakini aur Vishweshwari swaroop ki pooja karte hain.

Srisailam Shaktipeeth, Andhra Pradesh – Kurunoor district mein Mata Sati ke daaye pair ki payal giri thi. Yahaan Mata Shri Sundari ke roop mein sthapit hain.

Karnat Shaktipeeth, Karnataka – Devi Sati ke dono kaan gire the. Yahaan Mata ka Jai Durga swaroop poojyaniy hai.

Kamakhya Shaktipeeth, Assam – Guwahati ke Nilantal Parvat par Mata ki yonii giri thi. Yahaan Mata ke Kamakhya swaroop ki pooja hoti hai.

Maa Bhadrakali Devikup Mandir, Kurukshetra, Haryana – Mata ka daaya takhna gira tha. Yahaan Maa Bhadrakali ke swaroop ki pooja hoti hai.

Chattal Bhavani Shaktipeeth, Bangladesh – Chittagong district ke Chandranath parvat par Mata Sati ki daayi bhujha giri thi.

Sugandha Shaktipeeth – Bangladesh ke Shikarpur se 20 km door Mata ki naasika giri thi. Is Shaktipeeth mein Mata ko Sugandha kaha jaata hai. Iska ek anya naam Ugrtara Shaktipeeth bhi hai.

Jayanti Shaktipeeth – Bangladesh ke Sylhet district mein Jayantia Pargana mein Mata ki baayi jaangh giri thi. Yahaan Mata Devi Jayanti naam se sthapit hain.

Shrishail Mahalaxmi – Bangladesh ke Sylhet district mein Mata Sati ka gala gila tha. Is Shaktipeeth mein Mahalaxmi swaroop ki pooja hoti hai.

Yashoreswari Mata Shaktipeeth – Bangladesh ke Khulna district mein Yashor naam ki jagah hai, jahan Mata Sati ki baayi hatheli giri thi.

Indrakshi Shaktipeeth – Sri Lanka ke Jaffna Nallur mein Devi ki payal giri thi. Is Shaktipeeth ko Indrakshi kaha jaata hai.

Guheshwari Shaktipeeth – Nepal mein Pashupatinath Mandir se kuch doori par Bagmati nadi ke kinare yeh Shaktipeeth hai. Yahaan Mata Sati ke dono ghutne gire the. Yahaan Shakti ke Mahamaya ya Mahashira roop ki pooja hoti hai.

Adya Shaktipeeth – Nepal mein Gandak nadi ke paas Adya Shaktipeeth hai. Mana jaata hai ki is sthal par Mata Sati ka baaya gaal gira tha. Yahaan Mata ke Gandaki Chandi swaroop ki pooja hoti hai.

Dantakali Shaktipeeth – Nepal ke Bijayapur gaon mein Mata Sati ke daant gire the. Is karan is Shaktipeeth ko Dantakali Shaktipeeth ke naam se jaana jaata hai.

Mansa Shaktipeeth – Tibet mein Mansarovar nadi ke paas Mata Sati ki daayi hatheli giri thi. Yahaan unhe Mata Dakshayani kaha jaata hai. Mata yahaan ek shila ke roop mein sthapit hain.

Mithila Shaktipeeth – Bharat-Nepal seema par Mata Sati ka baaya kandha gira tha. Yahaan Mata ko Devi Uma kaha jaata hai.

Hingula Shaktipeeth – Pakistan ke Balochistan mein Devi ka Hingula Shaktipeeth hai. Is Shaktipeeth mein Mata ko Hinglaj Devi ke naam se jaana jaata hai. Dharoharik manyata ke anusar yahaan Mata Sati ka sir gira tha.

# Shakti Peeth Location (State, Country) Body Part / Ornament Significance
1 Kamakhya Guwahati, Assam, India Yoni (Vaginal part) Tantrik and Shakti worship center
2 Vaishno Devi Katra, Jammu & Kashmir, India Heart Major pilgrimage site
3 Kalighat Kolkata, West Bengal, India Toe Dedicated to Goddess Kali
4 Mahalakshmi Kolhapur, Maharashtra, India Eyes Goddess of wealth and prosperity
5 Chhinnamasta Rajrappa, Jharkhand, India Head Tantrik worship site
6 Tara Tarini Ganjam, Odisha, India Breast Important for South Indian devotees
7 Jwalamukhi Kangra, Himachal Pradesh, India Tongue Fire goddess temple
8 Hinglaj Balochistan, Pakistan Hair Pilgrimage site for Tantrik worship
9 Ambaji Gujarat, India Navel Important during Navratri
10 Tarapith Birbhum, West Bengal, India Feet Tantrik worship and pilgrimage site
11 Renuka Mahur, Maharashtra, India Hands Revered by tribal communities
12 Vindhyavasini Mirzapur, Uttar Pradesh, India Face Situated on Vindhya mountain
13 Chintpurni Una, Himachal Pradesh, India Hair Associated with health and well-being
14 Meenakshi Madurai, Tamil Nadu, India Eyes South Indian Shakti Peeth
15 Katyayani Gurgaon, Haryana, India Breast Special worship during Navratri
16 Bhramari Mahur, Madhya Pradesh, India Face Tantrik significance
17 Mahakali Chittorgarh, Rajasthan, India Feet Revered by Rajasthan devotees
18 Mumbadevi Mumbai, Maharashtra, India Hands Protection and devotion center
19 Chamunda Kangra, Himachal Pradesh, India Arms Revered by North Indian devotees
20 Ujjaini Shaktipeeth Ujjain, Madhya Pradesh, India Navel Near Mahakaleshwar temple
21 Bhadrakali Bhadrachalam, Telangana, India Face Coastal and cultural significance
22 Baglamukhi Himachal Pradesh, India Tongue Tantrik worship site
23 Maheswari Madhya Pradesh, India Shoulder Local pilgrimage site
24 Annapurna Varanasi, Uttar Pradesh, India Stomach Goddess of food and nourishment
25 Baglamukhi Punjab, India Eyes Tantrik and religious importance
26 Chamundeshwari Mysore, Karnataka, India Face Protection and power center
27 Kalika Assam, India Feet Revered by North-East Indian devotees
28 Mahalakshmi Kolaba, Maharashtra, India Eyes Goddess of wealth and prosperity
29 Maheshwari Rajasthan, India Hands Tantrik and religious significance
30 Chandika West Bengal, India Face Revered form of Goddess Kali
31 Dakshina Kali Kolkata, West Bengal, India Feet Famous during Kali Puja
32 Kanyakumari Tamil Nadu, India Feet Southernmost tip of India
33 Bhavani Tuljapur, Maharashtra, India Hands Revered by devotees
34 Mahishasuramardini Karnataka, India Arms Revered form of Goddess Durga
35 Chandi Himachal Pradesh, India Face Revered by North Indian devotees
36 Bhagwati Uttar Pradesh, India Hands Pilgrimage and religious importance
37 Shankari West Bengal, India Eyes Tantrik worship site
38 Mahadevi Odisha, India Heart Coastal and cultural significance
39 Bhairavi Assam, India Tongue Revered by North-East Indian devotees
40 Tripura Sundari Tripura, India Heart Revered by North-East Indian devotees
41 Shitala Delhi, India Hands Associated with smallpox and health
42 Kamala West Bengal, India Eyes Goddess of prosperity and wealth
43 Mahakali Madhya Pradesh, India Feet Revered by local devotees
44 Siddheshwari Karnataka, India Face Tantrik worship site
45 Durgamata Maharashtra, India Arms Revered during Navratri
46 Jagadamba Andhra Pradesh, India Heart Coastal and cultural significance
47 Rajarajeshwari Tamil Nadu, India Hands Revered by Southern Indian devotees
48 Bhavani Tuljapur, Maharashtra, India Face Goddess of power and strength
49 Chhinnamasta Jharkhand, India Head Tantrik and religious significance
50 Tara West Bengal, India Eyes Revered by coastal and cultural devotees
51 Shankari Assam, India Feet Revered by North-East Indian devotees

https://www.vaishnavji.in